Posted on 13 March 2010
aap kii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
raat bhar dard kii shammaa jalatii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
baa.Nsurii kii surilii suhaanii sadaa
yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
yaad ke chaa.Nd dil me.n utarate rahe
chaa.Ndanii jagamaatii rahii raat bhar
koii diivaanaa galiyo.n me.n phirataa rahaa
koii aavaaz aatii rahii raat bhar
Posted on 13 March 2010
aa.Nkh pyaasii hai ko_ii manzar de
is jaziire ko bhii samandar de
apanaa cheharaa talaash karanaa hai
gar nahii.n aa_inaa to patthar de
band kaliyo.n ko chaahiye shabanam
in chiraaGo.n me.n roshanii bhar de
pattharo.n ke saro.n se karz utaar
is sadii ko ko_ii payambar de
kah_kaho.n me.n guzar rahii hai hayaat
ab kisii din udaas bhii kar de
phir na kahanaa ke Khud_Khushii hai [...]
Posted on 13 March 2010
haa.N dil-e-dard_ma.nd zam-zamaa saaz
kyuu.N na khole dar-e-Khazinaa-e-raaz
Khaame kaa safhe par ravaa.N honaa
shaaKh-e-gul kaa hai gul-fishaa.N honaa
mujh se kyaa puuchhataa hai kyaa likhiye
nuqtaa haaye Khiradafishaa.N likhiye
baare, aamo.n kaa kuchh bayaa.N ho jaaye
Khaamaa naKhle ratabafishaa.N ho jaaye
aam kaa kaun mard-e-maidaa.N hai
samar-o-shaaKh, guve-o-chaugaa.N hai
taak ke jii me.n kyuu.N rahe armaa.N
aaye, ye guve aur ye maidaa.N!
aam ke aage pesh [...]
Posted on 13 March 2010
aap me.n gum hai.n magar sab kii Khabar rakhate hai.n
ghar me.n baiThe hai.n zamaane pe nazar rakhate hai.n
nuktaachii.n dekhiye kis kis pe nazar rakhate hai.n
ham bhii ai diidaavaro aib-o-hunar rakhate hai.n
[nuktaachii.n=critic; diidaavaro=those who analyze/criticize]
[aib-o-hunar=vice and virtue]
ham se ab ai garadish-e-dauraa.N tumhe.n kyaa lenaa hai
ek hii dil hai so vo zer-o-zabar rakhate hai.n
[garadish-e-dauraa.N=times of misfortune; zer-o-zabar=ups [...]
Posted on 13 March 2010
tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kirane.n naye makaano.n ke aa.Ngano.n me.n laraz rahii hai.n
fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakate zarro.n se bhar ga_ii hai.n
gaye dino.n ke aziz baate.n nigar subahe.n gulab raate.n
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiite.n hazaar maate.n
judaa_iyo.n kii havaaye.n lamho.n kii Khush maTTii u.Daa rahii hai.n
ga_ii ruto.n kaa malaal kab tak
chalo ke shaaKhe.n to TuuTatii hai.n
chalo ke [...]
Posted on 12 March 2010
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab puuchhe.nge
ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaa.N kyuu.N ho
u.ngaliyaa.N uThe.ngii sukhe huye baalo.n kii taraf
ik nazar dekhe.nge guzare huye saalo.n kii taraf
chu.Diyo.n par bhii ka_ii tanz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikre kase jaaye.nge
log zaalim hai.n har ik baat kaa taanaa de.nge
baato.n [...]
Posted on 12 March 2010
baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii
le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii
chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii
un kii aa.Nkho.n ne Khudaa jaane [...]
Posted on 12 March 2010
baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye
[chaak = torn; saffaak = cruel]
baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah me.n
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye
[buland-o-baalaa = high and low; shajar = tree]
juganuu ko din ke vaqt paka.Dane kii zid kare.n
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
[ahad [...]