Love Poetry


All Love poetry.

aaKhirii Tiis aazamaane ko

Posted on 15 March 2010

aaKhirii Tiis aazamaane ko
jii to chaahaa thaa muskuraane ko

yaad itanii bhii saKht_jaa.N to nahii.n
ik gharau.ndaa rahaa hai Dahaane ko

sang_rezo.n me.n Dhal gaye aa.Nsuu
log ha.Nsate rahe dikhaane ko

zaKhm-e-naGmaa bhii lau to detaa hai
ik diyaa rah gayaa jalaane ko

jalane vaale to jal bujhe aaKhir
kaun detaa Khabar zamaane ko

kitane majabuur ho gaye ho.nge
ankahii baat muu.Nh pe laane ko

khul [...]

hum dil ki kahani keh den ge.

Posted on 06 March 2010

Kuch door hamare sath chalo
hum dil ki kahani keh den ge,
Samje na jisy tum aankhon se
wo baat zubani keh den ge,
pholon ki tarah honton pe
ek shokh tabasum bikhre ga,
Dheere se tumhare kanon main
ek baat purani keh den ge,
Izhare wafa tum kya jano
iqrare wafa tum kya jano,
Hum ziker karen ge ghairon ka
aur apni kahani keh den ge,
kuch [...]

Tujhey poojney ki bajaey kartey jo khud sey Ishq…!

Posted on 05 March 2010

Yun na har koi karta mujhey pehchananey sey Inkaar
Tujhey poojney ki bajaey kartey jo khud sey Ishq…!

Ankhoon Main Umadtay Hain

Posted on 04 March 2010

Ankhoon main umadtay hain tu phir ruktay nhein ansoo
pulkoon pay khein dard ka darya tu nhein hay
is gher main sar e sham diye kis ne jila deye
barsoon se yahan koi rehta tu nhein hay

Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh

Posted on 03 March 2010

Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon to kehna
Main Muskurahat hoon mujhe hansa ker dekh
Na sajoon tere honton per to kehna
Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh
Na mehkoon teri zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe sun ker dekh
Na Dharkoon tere Dil main to kehna
Main Phool hoon mujhe laga ker dekh
Na mehkoon din raat [...]

Faraq

Posted on 03 March 2010

WAQTI RUKHSAT PY NESHANI JO TALAB KI TO KAHA
DAAGH KAFI HAY JUDAI KA AGAR YAD RAHAY.

khmosh si thi meri mohabath

Posted on 02 March 2010

khmosh si thi meri mohabath…
phir bi kar diya us ny tark-e-taluq…
main ny khud ko boht samjhya…
or us ko bar-haa kaha main ny …
tum loat kyun nai aaty…………

Roshni ka daira mary har soo hota

Posted on 02 March 2010

Roshni ka daira mary har soo hota
kash mari zindgi may jo tu hota
maan apna har lamha tari yaad may betati
mari muhabbat ka charcha kobako jo hota
dukhwn ba chaniwn ka ehsas be na hota
naz karti khud par agr tu sath mary jo hota
dil my ek aah ray gi yah ta umer SHAHZEEM
Kash meri barbadi ka ehsaas [...]

Greeting Cards Love Meter