Posted on 14 June 2008
hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe
tum ne banaa diyaa hai mohabbat me.n kyaa mujhe
har manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe
mu.D mu.D ke raah me.n vo teraa dekhanaa mujhe
kaif-e-Khudii ne mauj ko kashtii banaa diyaa
hosh-e-Khudaa hai ab na Gam-e-naaKhudaa mujhe
saaqii bane huye hai.n vo ‘Sagar’ shab-e-visaal
is vaqt ko_ii meri kasam dekhataa mujhe
Tags: hairat se
Posted on 14 June 2008
Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir paato’n ki paazeb baji tum yaad aaye
phir kunjein bolee’n ghaas ke hare samandar par
rut aayee peele phoolo’n ki tum yaad aaye
phir kaaga bola ghar ke soone aangan mein
phir amrit ras ki boond padi tum yaad aaye
pehle to main cheekh ke roya aur phir hansne laga
baadal garja [...]
Tags: porani yaad, yaad
Posted on 14 June 2008
Kia kia baaten woh apni tehreer main likhti hai
Ek nayi takdeer meri takdeer main likhti hai
Woh aisi hamdard ke apne pyar ke saaray lafz
Mere haathon ki lakeer main likhti hai
Koi raaz chupana shayad pasand nahi usay
Woh apna har khawab khuli tabeer main likhti hai
Main us ka ek man-chaha qaidi hoon isi liye
Naam mera woh zulfon [...]
Tags: kia kia baaten, tehreer
Posted on 13 June 2008
Wo Mujh se meri udasiyon ki waja poochta hai
Kaisa pagal hay dhalti raat k sanatay ki waja poochta hai
Wo Mujh se meri barasti ankhon ki waja poochta hai
Kaisa pagal hai barish kay barasnay ki waja poochta hai
Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA k baray main poochta hai
Kaisa pagal hai sumandar per kharay uski gehrai poochta hai
Wo [...]
Tags: maray dil ka haal, maray dil ki baat
Posted on 13 June 2008
KHUDA KARE KEH KHUSHIYON SE TERA DAMIN MEHKE
BAHAR AYE TERAY AANGIN MAIN OR BASERA KER LE
Tags: khushiyon, kuuda kare
Posted on 29 April 2008
Ishq ne hume Rula Diya
Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya
hum to unki yadon mein hi jee laitay,
magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya
Posted on 29 April 2008
Manzil Door sahee Magr main Bichar nahi saktaa
Main kaise tujhy Aaoron ka Hamsafar daikho….
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko [...]
Posted on 29 April 2008
waqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal saktaa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo
kirchiyaaN TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aaiinaa dekhaa na karo
ajanabii lagane lage Khud tumhen apnaa hii vajuud
apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo
Khawaab bachchon ke khilaunon kii tarah hote hain
Khvaab [...]