Category | Love Poetry

Bekhudi

Posted on 02 November 2008

Ik mauj-e-samndar-e-qaynaat hai zindagi
Khud hi jwaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani pehchani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say uqta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e-khudai
But banayay banai azaanaiN
Phir sajaai rishton ki dukaanaiN
Jab [...]

Tags:

Aarzoo

Posted on 02 November 2008

MainaiN daikhay haiN tanhai kay woh maNzar
Afkaar bhi meray jahaaN gooNgay ho gayay
Daikha hai woh dasht chuppi ka
BarsoN jahaaN waqt ki aari na chali
Pehlay
akayla to nahi raha itnaa
Subsay door reh kay bhi maiN
Saath jab tak diya lafzoN nay dard sehnay maiN
Bahishti ban ban kay pilaatay paani
Tashnagi jab jab barti
Duniya kay usooloN say
Aur ab
JazboN ka jam [...]

Tags:

dur jana bhi hai

Posted on 02 November 2008

Hamen raze dil ko chupana bhi hai
aur nighahen unhi se milana bhi hai
rahi umr tanha bhi kat jayengi
magar saath gam ka nihana bhi hai
kabhi sharab ko chuenge na hum
magar hosh humko ab gavana bhi hai
tumko humse duri manzur sahi
saath hamesha wafa ka humko nibhana bhi hai
bahot pyar karta hai ye tumse “ANZAR”
lagta hai magar tumse [...]

Tags:

dard-e-anz

Posted on 02 November 2008

kiye ja raha hun sajde par sajde
har bar bas yahi khata kar raha hun
bas ek tere jeene ki khatir
main apne jeene ki dua kar raha hun.
kisi ko apna banane me der lagti hai
ek vaada nibhane me der lagti hai
PYAAR to pal bhar me bhi ho jata hai
magar usko bhulane me umar lagti hai

Tags:

Chand gali to utra hoga

Posted on 01 November 2008

Chand gali to utra hoga
Mujhse shayud rootha hoga
Zahar pyalaa de kar mujhko
Kuch to wo bhi tarpa hoga
Chupke chupke poNcha hoga
AaNkh se gar kuch tapka hoga
Usne khat to bheja hoga
Mujh tak hi na pahuNcha hoga
NeeNd uRa kar meri wo bhi
Shub bhar chatt par tehla hoga

Tags:

Brijinder”Sagar” ka Kalaam

Posted on 01 November 2008

Tu bani kisi ghar ki zeenat
Main kisi kothay ki numaish
Tera khwaab hua haqeeqat
Rahi jhooti meri khwaahish
Aurat mujh main bhi thi,haaN,dafnaa di thi ziNda
Meri kahaani ki insaaniyat bhi ho jaayay sharmiNda
Meray khwaaboN ko sool-e-wehshat chraayaa teray ghar kay mardoN nay
Meri majboori ko tamaashaa banaayaa teray ghar kay mardoN nay
MaiNnay bhi tha muhabbat ka paak chaman basaayaa
Meri [...]

Tags:

tere dil main -

Posted on 01 November 2008

ere dil main ho mera ghar yeh zaroori to nahi,
meri aahon main ho asar yeh zaroori to nahi….
chand suraj ho mere hamsafar phir bhee,
mere ghar main ho sehar yeh zaroori to nahi…
tere kafilay main ho lakhon tere chhahnay walay,
main tujh say jaoun bichher yeh zaroori to nahi…
kush to hai seenay main jisko zuba na mili,
mere [...]

Tags:

kabhi kabhi

Posted on 31 October 2008

Kabhie kabhie kuchh ker guzar jaane ko jee chahta hai,
Bas you hi teri baaho mein mer jaane ko jee chahta hai…..
Jo gire ashq teri aankho se jahaa se lad jau mein,
Ban k hasi tere hoto pe bikher jaane ko jee chahta hai…….
Meri her saans tere tasavvur ka aks nazar aati hai,
Banke dhadhkan tere DIL mein [...]

Tags: