Posted on 27 June 2008
diya eshanbachpan ke dukh bhi kitnay achay hotay thay
tab to sirf khilonay toota kartay thay
woh khushiyaan bhi janay kaisi kushiyaan thien
titli ke par noch kar uchala kartay thay
paoon mar ker khud hi barish ke pani main
apni naoo ap hi diboya kartay thay
apnay jal janay ke ehsaas bhi na tha
jaltay howay sholooon ko chera kartay thay
chotay [...]
Tags: bachpan ki yaadian, Unforgetable BACHPAN
Posted on 19 June 2008
Jab Tum chalay jao gey,
To yaad mujay Tum aao gey,
Chehrey per udasi chhaegi,
Ankhoon me ansoo aain gey,
Gham saray bhool jaoon ga,
Sirf aik khayaal reh jai ga,
TUM waapis kub ao gey,
Aur mujhko kitna terpaoo gey,
Tum yaad mujhe aao gey,
Hatoon ko jub me dekhoon ga,
to pyar dekhai de ga,
Ratoon ko jub me sooan ga,
Khaboon me sirf TUM [...]
Tags: Jab Tum chalay jao gey, waapis kub aao gey
Posted on 14 June 2008
Sirf itna usey bata dena,
Mujhe aata nahi bhula dena,
Meri baatein to sirf baatein hain,
Yaad ayein to muskura dena.
Posted on 14 June 2008
Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Ham Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.
Tags: Hume Jeene Nahi Deti, yaadein
Posted on 14 June 2008
Ek baar meri jaan tum ajao kisi shaam
Yeh husun-e-sakhawat bhi dikhlao kisi shaam
Khushboo se mohabbat ki moattar karo saansen
Kandhay pe mere zulf ko bikhrao kisi shaam
Main chashm-e-haqeeqat se tere pyar ko dekho
Anchal meri ankhon pe bhi lehrao kisi shaam
Daaman meri chahat ka ho labraiz haya se
Baahon main meri sharm se bal khao kisi shaam
Maalik se [...]
Tags: kisi shaam aa jaoo