Posted on 05 June 2010
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon zindagi main terey baray main kahan tak sochon Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay aur main sirf paroosi k makaan tak sochon Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon Loog jis mor [...]
Posted on 05 June 2010
kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n phir khuwab agar ho jaao to kyaa koi rang to do mere chehray ko phir zakhm agar mehkao to kyaa ik ainaa thaa so TuuT gayaa ab Khud se agar sharmaao to kyaa main tanhaa thaa main tanhaa huuN tum aao to kyaa na aao to kyaa jab [...]
Posted on 05 June 2010
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon [...]
Posted on 05 June 2010
Un ka kiyaa dil main asay sama gaya.. Sehra main goya jasay hoo selaab aagya.. Ankhoon na meri ansoo say ashna thii.. Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya… Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost.. Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya.. Jinay ki baat or hay marnay ki baat [...]
Posted on 05 June 2010
Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain, Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain, Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai, Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain, Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain, Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain,
Posted on 04 June 2010
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum, Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum, Na koi rishta hay tum se na koi talluk, phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum, Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se, Mera geet meri shaira mera deewan [...]
Posted on 04 June 2010
Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per, udasi k kinaron per, kabhe veran shehraon per, kabhe sunsan rahon per, kabhi hairon ankhon main, kabhi bayjan lamhon main, tumhari yad chupkay say, koi sargoshi kerti hay, yeh palkain bheeg jati hain, do ansu tot girtay hain, main palkon ko jhukata hon, bazahir muskurata hon, faqat [...]
Posted on 04 June 2010
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya, Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya, Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main, Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya, Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se, usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool [...]