Meary piyar ki khani
Koi raja Na rani ki hai daastan,
Meray piyar ki sachi hai daastan,
Kbhi phoolo k aangan main mehkay woh,
meri baanho main aa ker behkay woh,
meray piyar main sajta sanwarta hai,
mujhay daant ta or larta hai
kbhi rooth ta hai maan jata hai
phir woh apni baatien sonata hai
mujhay kehta apni bhi khoo na tum
meray sath main kuch pal jiyo na tum,
mujhay dekh ker baatien kiya karo
meray sath main hans k jiya karo
bus baatien hi dil ki kiya karo,
pori raat woh hans k bitata hai
koi gham nahi ab btata hai
meray sath hi rehnay ka shook hai,
choti baato per aksar dar jata hai
bus yeh hi meri hai daastan
jis say piyar hai meri zindagani hai,

